Friday, February 12, 2010

PATH KATHI OR MEHNAT LATHI

YE KAVITA HUMNE US BHAAV PAR LIKHI THI KI
UN KATHINAYON SE DARKAR BACHKAR KA UNME NISKRIYA REHKAR HUM APNI KAYARTA KA SABOOT DETE HAIN. BATEN TO BADI BADI KARTE HAIN. RASTE KAI CHUNTE HAIN PAR JAATE KISI PAR NAHI.

KAVITA 19TH OCTOBER 2009 KO LIKHI THI





Path kathi aur mehnat lathi
Manav ke chalan me sathi

Gira gyan ka ambar bhu par
Daksh pradaksh sahastra sa upar
Raah andhiyare me bujhti
Tail bin deepak jalti baati

Path kathi aur mehnat lathi

Kankar, kantak aankh bichhaye
Pad ki chhah me aas lagayen
Beh jaye lahu to chinta kya?
Mushkil aati to hi jaati

Path kathi or mehnat lathi

Supt sabhi jal jar thal jan
Paun pasare mare man
Agni tujhme bhasm bhare
Kyon ne jalti tujhe jagati

Path kathi or mehnat lathi

Chhubd mati or mand gati
Par bhramar na ban ki swar ati
Uttejna avruddha kare marg
Vijay karma yog ki mahima gai

Path kathi or mehnat lathi
Manav ke chlan me sathi



***********************shri radhey*********************
the poem composed by me.
(haanth chalane wala me).karne wale vahi.

No comments:

Post a Comment